Sunday, May 16, 2010

GUTARGOON

mumbai ki chipchipi garmi ki ek dophar, main ek coffee shop mein kuch doston ke saath baitha tha,ek nai film ki kahani par vichaar vimarsh kar rahe the lekin mera dyaan sadak ke us paar kabootaron ke jhund mein zyaada tha,kuch hritik roshan ke sar pe virajmaan the aur kuch us billboard ke charanon mein.kuch saamjik taur pe jagrit log kam se kam in kabootaron ko toh daana dala he jaate hain,bagal mein pade us aadhe nange bikhari bachche ko muft mein do gaali bhi de jaate hain.sabki mundi kisi hiphop dancer ki tarah ek laya mein daana chugti hui,tabhi peeche se ek jaani pahchaani hi ki awaaz aayi ek aur dost tha,wahi raterataye andaaz mein haath milana,gale lagna,wahi ghise pite sawaal jawaab,kaisa hai? kya chal raha hai? ghar pe sab theek? vagairah aur hum phir apne apne jhund mein aa gaye.film ka pahla draft taiyaar ho chuka tha ab tak,doosre ki shuruat aur ia baar main apne aas paas baithe kabootaron ke jhund mein kho gaya,har table par kuch kabootar,magar yahaan variety thi,har tarah ke the,kabootariyan bhi thi saji dhaji koi naya kabootar dhoondhti hui kuvh apna saath laayi thi.har table pe ek film ban rahi thi,kuch 20 table hongi toh sharukh, amitabh aur salmaan ab tak 15 filmein toh sign kar he chuke the.har kabootar apna daana dhoondhta hua,yahan pe ek fark tha yahaan apna daana khud he dhoondana padta hai,aur agar daana na mile toh kabootar dhoondna padta hai jo daana leke aaye.main bhi unhi mein se ek kabootar hoon,apna daana dhoondhta hua,par woh kahte hain na ki daane daane pe likha hai.....................!