Thursday, March 25, 2010

sapno ki kwabgah...

kabhi kabhi raat ko main chakme se uth baith ta hoon,

hazaron rangeen tarange jaise badan se guzri hon,

halak sukha,ghanghor andhera,seene mein chot deti dhadkan,

banjar zameen sa man phir bhi baith sochta hoon,

kabhi kabhi raat ko main chakme se uth baith ta hoon..

andhiyare man ki tanha galiyon mein,

kuch harkat si mahsoos hoti hai,

paani bharne ko jaati meri trishna mahsoos hoti hai,

haath badha use mahsoos karma chahta hoon,

wo shwet kiran andera hoti mahsoos hoti hai,

kabhi kabhi raat ko main chakme se uth baith ta hoon……..