ek aur poornviram
hospital ke us corridor mein saare gharwalon ki chahal pahal thi har koi pareshaan tha bas koi toh chinta hai jo khae jaati hai,esi he gehmagehmi hoti hai production office mein jab ek naya show ban raha hota hai,vaisa he mahaul jaise ek naya janm ho raha ho..saare gharwale us naye bachche se pyaar karte hain chahte hain ki wo saleeke se bada ho,har kisi ka apna ek judaav hota hai usse..
kai baras ho gae kai projects ho gae,shuru hote hain phir bandh hote hain sabse ek judaav hota hai,shuruat mein ajeeb lagta tha bura lagta tha bandh hone pe phir aadat pad jaati hai,theek zindagi ki tarah log aate hai chale jaate hain zindagi chalti rehti hai nirantar lekin kuch ese log aate hain jo humare liye khaas ho jaate hain jinke jaane par zindagi toh chalti hai lekin vaisi nahi,wo humare andar kuch badal jaate hain chhod jaate hain ek khaalipan ek ehsaas jo hum kabhi dobara nahi ji sakte jiska malal hamesha humare andar jeevant rehta hai,esa he tha rangrasiya, jo mere andart bohot kuch badal gaya,jo chhod jaega ek esa khalipan jise bhara nahi ja sakta,mere is tv ke safar ka sabse mehtvpoorn padav sabse pyara aur dil ke kareeb.
aur ye sirf mere liye nahi balki har koi jo isse juda kisi bhi haisiyat mein unke liye ye esa he tha,banaane walo se lekar dekhne walon tak..hum kisi ke pyaar ko kisi ke judaav ko door baithkar nahi naap tol sakte,
ek aur poornviram laga ek aur kahaani pe,lekin yahi toh hai mazedaar zindagi har anth par ek nai shururat,phir ek naya janm hoga ek nai kahani likhi jaegi,lekin wo ek ehsaas wo ek khalipan barkarar rahega sada.